Guzar Gai Hai Abhi Saat-e-guzishta Bhi

guzar gai hai abhi saat-e-guzishta bhi

nazar uTha ki guzar jaega ye lamha bhi

bahut qarib se ho kar guzar gai duniya

bahut qarib se dekha hai ye tamasha bhi

guzar rahe hain jo bar-e-nazar uThae hue

ye log mahw-e-tamasha bhi hain tamasha bhi

wo din bhi the ki teri KHwab-gin nigahon se

pukarti thi mujhe zindagi bhi duniya bhi

jo be-sabaati-e-alam pe bahs thi sar-e-bazm

main chup raha ki mujhe yaad tha wo chehra bhi

kabhi to chand bhi utrega dil ke aangan mein

kabhi to mauj mein aaega ye kinara bhi

nikal dil se gae mausamon ki yaad 'ajmal'

teri talash mein imroz bhi hai farda bhi

(975) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Guzar Gai Hai Abhi Saat-e-guzishta Bhi In English By Famous Poet Ajmal Siraj. Guzar Gai Hai Abhi Saat-e-guzishta Bhi is written by Ajmal Siraj. Read famous Poem Guzar Gai Hai Abhi Saat-e-guzishta Bhi for youth and Student by Ajmal Siraj. Free Download Guzar Gai Hai Abhi Saat-e-guzishta Bhi in PDF.