Tere Siwa Kisi Ki Tamanna Karunga Main

tere siwa kisi ki tamanna karunga main

aisa kabhi hua hai jo aisa karunga main

go gham aziz hai mujhe tere firaq ka

phir bhi is imtihan ka shikwa karunga main

aankhon ko ashk o KHun bhi faraham karunga main

dil ke liye bhi dard muhayya karunga main

rahat bhi ranj, ranj bhi rahat ho jab to phir

kya etibar-e-KHwahish-e-duniya karunga main

rakkha hai kya jahan mein ye aur baat hai

ye aur baat hai ki taqaza karunga main

ye rahguzar ki ja-e-qayam-e-qarar thi

yani ab us gali se bhi guzra karunga main

yani kuchh is tarah ki tujhe bhi KHabar na ho

is ehtiyat se tujhe dekha karunga main

hai dekhne ki chiz to ye iltifat bhi

dekhoge tum gurez bhi aisa karunga main

hairan o dil-shikasta hun is haal-e-zar par

kab jaanta tha apna tamasha karunga main

han khinch lunga waqt ki zanjir panw se

ab ke bahaar aai to aisa karunga main

(1374) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tere Siwa Kisi Ki Tamanna Karunga Main In English By Famous Poet Ajmal Siraj. Tere Siwa Kisi Ki Tamanna Karunga Main is written by Ajmal Siraj. Read famous Poem Tere Siwa Kisi Ki Tamanna Karunga Main for youth and Student by Ajmal Siraj. Free Download Tere Siwa Kisi Ki Tamanna Karunga Main in PDF.