Kahan Hai Mera Hindostan

musalman aur hindu ki jaan

kahan hai mera hindostan

main us ko DhunDh raha hun

mere bachpan ka hindostan

na bangladesh na pakistan

meri aasha mera arman

wo pura pura hindostan

main us ko DhunDh raha hun

wo mera bachpan wo school

wo kachchi saDken uDti dhul

lahakte bagh mahakte phul

wo mere khet mere khaliyan

main us ko DhunDh raha hun

wo urdu ghazlen hindi git

kahin wo pyar kahin wo prit

pahaDi jharnon ke sangit

dehati lahra purbi tan

main us ko DhunDh raha hun

jahan ke krishn jahan ke ram

jahan ki sham saloni sham

jahan ki subh banaras dham

jahan bhagwan karen ashnan

main us ko DhunDh raha hun

jahan the 'tulsi' aur 'kabir'

'jaysi' jaise pir faqir

jahan the 'momin' 'ghaalib' 'mir'

jahan the 'rahman' aur 'rasKHan'

main us ko DhunDh raha hun

wo mere purkhon ki jagir

karachi lahore o kashmir

wo bilkul sher ki si taswir

wo pura pura hindostan

main us ko DhunDh raha hun

jahan ki pak pawitra zamin

jahan ki miTTi KHuld-nashin

jahan mahraj 'moinuddin'

gharib-nawaz hind sultan

main us ko DhunDh raha hun

mujhe hai wo leader taslim

jo de yak-jehti ki talim

miTa kar kumbon ki taqsim

jo kar de har qalib ek jaan

main us ko DhunDh raha hun

ye bhuka shair pyasa kawi

sisakta chand sulagta rawi

ho jis mudra mein aisi chhawi

kara de 'ajmal' ko jalpan

main us ko DhunDh raha hun

musalman aur hindu ki jaan

kahan hai mera hindostan

main us ko DhunDh raha hun

(1803) Peoples Rate This

Ajmal Sultanpuri's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Kahan Hai Mera Hindostan In English By Famous Poet Ajmal Sultanpuri. Kahan Hai Mera Hindostan is written by Ajmal Sultanpuri. Read famous Poem Kahan Hai Mera Hindostan for youth and Student by Ajmal Sultanpuri. Free Download Kahan Hai Mera Hindostan in PDF.