Aankhen Mujhe Talwon Se Wo Malne Nahin Dete

aankhen mujhe talwon se wo malne nahin dete

arman mere dil ke nikalne nahin dete

KHatir se teri yaad ko Talne nahin dete

sach hai ki hamin dil ko sambhalne nahin dete

kis naz se kahte hain wo jhunjhla ke shab-e-wasl

tum to hamein karwaT bhi badalne nahin dete

parwanon ne fanus ko dekha to ye bole

kyun hum ko jalate ho ki jalne nahin dete

hairan hun kis tarah karun arz-e-tamanna

dushman ko to pahlu se wo Talne nahin dete

dil wo hai ki fariyaad se labrez hai har waqt

hum wo hain ki kuchh munh se nikalne nahin dete

garmi-e-mohabbat mein wo hain aah se manea

pankha nafas-e-sard ka jhalne nahin dete

(921) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankhen Mujhe Talwon Se Wo Malne Nahin Dete In English By Famous Poet Akbar Allahabadi. Aankhen Mujhe Talwon Se Wo Malne Nahin Dete is written by Akbar Allahabadi. Read famous Poem Aankhen Mujhe Talwon Se Wo Malne Nahin Dete for youth and Student by Akbar Allahabadi. Free Download Aankhen Mujhe Talwon Se Wo Malne Nahin Dete in PDF.