Bahut Raha Hai Kabhi Lutf-e-yar Hum Par Bhi

bahut raha hai kabhi lutf-e-yar hum par bhi

guzar chuki hai ye fasl-e-bahaar hum par bhi

urus-e-dahr ko aaya tha pyar hum par bhi

ye beswa thi kisi shab nisar hum par bhi

biTha chuka hai zamana hamein bhi masnad par

hua kiye hain jawahir nisar hum par bhi

adu ko bhi jo banaya hai tum ne mahram-e-raaz

to faKHr kya jo hua e'tibar hum par bhi

KHata kisi ki ho lekin khuli jo un ki zaban

to ho hi jate hain do ek war hum par bhi

hum aise rind magar ye zamana hai wo ghazab

ki Dal hi diya duniya ka bar hum par bhi

hamein bhi aatish-e-ulfat jala chuki 'akbar'

haram ho gai dozaKH ki nar hum par bhi

(1641) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahut Raha Hai Kabhi Lutf-e-yar Hum Par Bhi In English By Famous Poet Akbar Allahabadi. Bahut Raha Hai Kabhi Lutf-e-yar Hum Par Bhi is written by Akbar Allahabadi. Read famous Poem Bahut Raha Hai Kabhi Lutf-e-yar Hum Par Bhi for youth and Student by Akbar Allahabadi. Free Download Bahut Raha Hai Kabhi Lutf-e-yar Hum Par Bhi in PDF.