CharKH Se Kuchh Umid Thi Hi Nahin

charKH se kuchh umid thi hi nahin

aarzu main ne koi ki hi nahin

mazhabi bahas main ne ki hi nahin

faltu aql mujh mein thi hi nahin

chahta tha bahut si baaton ko

magar afsos ab wo ji hi nahin

jurat-e-arz-e-haal kya hoti

nazar-e-lutf us ne ki hi nahin

is musibat mein dil se kya kahta

koi aisi misal thi hi nahin

aap kya jaanen qadr-e-ya-allah

jab musibat koi paDi hi nahin

shirk chhoDa to sab ne chhoD diya

meri koi society hi nahin

puchha 'akbar' hai aadmi kaisa

hans ke bole wo aadmi hi nahin

(1050) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

CharKH Se Kuchh Umid Thi Hi Nahin In English By Famous Poet Akbar Allahabadi. CharKH Se Kuchh Umid Thi Hi Nahin is written by Akbar Allahabadi. Read famous Poem CharKH Se Kuchh Umid Thi Hi Nahin for youth and Student by Akbar Allahabadi. Free Download CharKH Se Kuchh Umid Thi Hi Nahin in PDF.