Har Qadam Kahta Hai Tu Aaya Hai Jaane Ke Liye

har qadam kahta hai tu aaya hai jaane ke liye

manzil-e-hasti nahin hai dil lagane ke liye

kya mujhe KHush aae ye hairat-sara-e-be-sabaat

hosh uDne ke liye hai jaan jaane ke liye

dil ne dekha hai bisat-e-quwwat-e-idrak ko

kya baDhe is bazm mein aankhen uThane ke liye

KHub ummiden bandhin lekin huin hirman nasib

badliyan uTThin magar bijli girane ke liye

sans ki tarkib par miTTi ko pyar aa hi gaya

KHud hui qaid us ko sine se lagane ke liye

jab kaha main ne bhula do ghair ko hans kar kaha

yaad phir mujh ko dilana bhul jaane ke liye

dida-bazi wo kahan aankhen raha karti hain band

jaan hi baqi nahin ab dil lagane ke liye

mujh ko KHush aai hai masti sheKH ji ko farbahi

main hun pine ke liye aur wo hain khane ke liye

allah allah ke siwa aaKHir raha kuchh bhi na yaad

jo kiya tha yaad sab tha bhul jaane ke liye

sur kahan ke saz kaisa kaisi bazm-e-samain

josh-e-dil kafi hai 'akbar' tan uDane ke liye

(1130) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Qadam Kahta Hai Tu Aaya Hai Jaane Ke Liye In English By Famous Poet Akbar Allahabadi. Har Qadam Kahta Hai Tu Aaya Hai Jaane Ke Liye is written by Akbar Allahabadi. Read famous Poem Har Qadam Kahta Hai Tu Aaya Hai Jaane Ke Liye for youth and Student by Akbar Allahabadi. Free Download Har Qadam Kahta Hai Tu Aaya Hai Jaane Ke Liye in PDF.