Ishq-e-but Mein Kufr Ka Mujhko Adab Karna PaDa

ishq-e-but mein kufr ka mujh ko adab karna paDa

jo barhaman ne kaha aaKHir wo sab karna paDa

sabr karna furqat-e-mahbub mein samjhe the sahl

khul gaya apni samajh ka haal jab karna paDa

tajrabe ne hubb-e-duniya se sikhaya ehtiraaz

pahle kahte the faqat munh se aur ab karna paDa

shaiKH ki majlis mein bhi muflis ki kuchh pursish nahin

din ki KHatir se duniya ko talab karna paDa

kya kahun be-KHud hua main kis nigah-e-mast se

aql ko bhi meri hasti ka adab karna paDa

iqtiza fitrat ka rukta hai kahin ai ham-nashin

shaiKH-sahib ko bhi aaKHir kar-e-shab karna paDa

aalam-e-hasti ko tha madd-e-nazar katman-e-raaz

ek shai ko dusri shai ka sabab karna paDa

sher ghairon ke use mutlaq nahin aae pasand

hazrat-e-'akbar' ko bil-aKHir talab karna paDa

(939) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq-e-but Mein Kufr Ka Mujhko Adab Karna PaDa In English By Famous Poet Akbar Allahabadi. Ishq-e-but Mein Kufr Ka Mujhko Adab Karna PaDa is written by Akbar Allahabadi. Read famous Poem Ishq-e-but Mein Kufr Ka Mujhko Adab Karna PaDa for youth and Student by Akbar Allahabadi. Free Download Ishq-e-but Mein Kufr Ka Mujhko Adab Karna PaDa in PDF.