Jahan Mein Haal Mera Is Qadar Zabun Hua

jahan mein haal mera is qadar zabun hua

ki mujh ko dekh ke bismil ko bhi sukun hua

gharib dil ne bahut aarzuen paida kin

magar nasib ka likkha ki sab ka KHun hua

wo apne husn se waqif main apni aql se sair

unhon ne hosh sambhaala mujhe junun hua

ummid-e-chashm-e-murawwat kahan rahi baqi

zariya baaton ka jab sirf telephone hua

nigah-e-garm christmas mein bhi rahi hum par

hamare haq mein december bhi mah-e-june hua

(943) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jahan Mein Haal Mera Is Qadar Zabun Hua In English By Famous Poet Akbar Allahabadi. Jahan Mein Haal Mera Is Qadar Zabun Hua is written by Akbar Allahabadi. Read famous Poem Jahan Mein Haal Mera Is Qadar Zabun Hua for youth and Student by Akbar Allahabadi. Free Download Jahan Mein Haal Mera Is Qadar Zabun Hua in PDF.