Jazba-e-dil Ne Mere Tasir Dikhlai To Hai

jazba-e-dil ne mere tasir dikhlai to hai

ghungruon ki jaanib-e-dar kuchh sada aai to hai

ishq ke izhaar mein har-chand ruswai to hai

par karun kya ab tabiat aap par aai to hai

aap ke sar ki qasam mere siwa koi nahin

be-takalluf aaiye kamre mein tanhai to hai

jab kaha main ne taDapta hai bahut ab dil mera

hans ke farmaya taDapta hoga saudai to hai

dekhiye hoti hai kab rahi su-e-mulk-e-adam

KHana-e-tan se hamari ruh ghabrai to hai

dil dhaDakta hai mera lun bosa-e-ruKH ya na lun

nind mein us ne dulai munh se sarkai to hai

dekhiye lab tak nahin aati gul-e-ariz ki yaad

sair-e-gulshan se tabiat hum ne bahlai to hai

main bala mein kyun phansun diwana ban kar us ke sath

dil ko wahshat ho to ho kambaKHt saudai to hai

KHak mein dil ko milaya jalwa-e-raftar se

kyun na ho ai naujawan ek shan-e-ranai to hai

yun murawwat se tumhaare samne chup ho rahen

kal ke jalson ki magar hum ne KHabar pai to hai

baada-e-gul-rang ka saghar inayat kar mujhe

saqiya taKHir kya hai ab ghaTa chhai to hai

jis ki ulfat par baDa dawa tha kal 'akbar' tumhein

aaj hum ja kar use dekh aae harjai to hai

(1068) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jazba-e-dil Ne Mere Tasir Dikhlai To Hai In English By Famous Poet Akbar Allahabadi. Jazba-e-dil Ne Mere Tasir Dikhlai To Hai is written by Akbar Allahabadi. Read famous Poem Jazba-e-dil Ne Mere Tasir Dikhlai To Hai for youth and Student by Akbar Allahabadi. Free Download Jazba-e-dil Ne Mere Tasir Dikhlai To Hai in PDF.