Kahan Wo Ab Lutf-e-bahami Hai Mohabbaton Mein Bahut Kami Hai

kahan wo ab lutf-e-bahami hai mohabbaton mein bahut kami hai

chali hai kaisi hawa ilahi ki har tabiat mein barhami hai

meri wafa mein hai kya tazalzul meri itaat mein kya kami hai

ye kyun nigahen phiri hain mujh se mizaj mein kyun ye barhami hai

wahi hai fazl-e-KHuda se ab tak taraqqi-e-kar-e-husn o ulfat

na wo hain mashq-e-sitam mein qasir na KHun-e-dil ki yahan kami hai

ajib jalwe hain hosh dushman ki wahm ke bhi qadam ruke hain

ajib manzar hain hairat-afza nazar jahan thi wahin thami hai

na koi takrim-e-bahami hai na pyar baqi hai ab dilon mein

ye sirf tahrir mein Dear sir hai ya janab-e-mukarrami hai

kahan ke muslim kahan ke hindu bhulai hain sab ne agli rasmen

aqide sab ke hain tin-terah na gyarahwin hai na ashTami hai

nazar meri aur hi taraf hai hazar rang-e-zamana badle

hazar baaten banae naseh jami hai dil mein jo kuchh jami hai

agarche main rind-e-mohtaram hun magar ise sheKH se na puchho

ki un ke aage to is zamane mein sari duniya jahannami hai

(1125) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahan Wo Ab Lutf-e-bahami Hai Mohabbaton Mein Bahut Kami Hai In English By Famous Poet Akbar Allahabadi. Kahan Wo Ab Lutf-e-bahami Hai Mohabbaton Mein Bahut Kami Hai is written by Akbar Allahabadi. Read famous Poem Kahan Wo Ab Lutf-e-bahami Hai Mohabbaton Mein Bahut Kami Hai for youth and Student by Akbar Allahabadi. Free Download Kahan Wo Ab Lutf-e-bahami Hai Mohabbaton Mein Bahut Kami Hai in PDF.