KHuda Ali-gaDh Ki Madrase Ko Tamam Amraaz Se Shifa De

KHuda ali-gaDh ki madrase ko tamam amraaz se shifa de

bhare hue hain rais-zade amir-zade sharif-zade

latif o KHush-waza chust-o-chaalak o saf-o-pakiza shad-o-KHurram

tabiaton mein hai un ki jaudat dilon mein un ke hain nek irade

kamal mehnat se paDh rahe hain kamal ghairat se baDh rahe hain

sawar mashriq ki rah mein hain to maghribi rah mein piyaade

har ek hai un mein ka be-shak aisa ki aap use jaante hain jaisa

dikhae mahfil mein qadd-e-rana jo aap aaen to sar jhuka de

faqir mangen to saf kah den ki tu hai mazbut ja kama kha

qubul farmaen aap dawat to apna sarmaya kul khila de

buton se un ko nahin lagawaT mison ki lete nahin wo aahaT

tamam quwwat hai sarf-e-KHwandan nazar ke bhole hain dil ki sade

nazar bhi aae jo zulf-e-pechan to samjhen ye koi policy hai

electric light us ko samjhen jo barq-wash koi koi de

nikalte hain kar ke ghol-bandi ba-nam-e-tahzib o dard-mandi

ye kah ke lete hain sab se chande hamein jo tum do tumhein KHuda de

unhen isi baat par yaqin hai ki bas yahi asal kar-e-aden hai

isi si hoga farogh-e-qaumi isi se chamkenge bap dade

makan-e-college ke sab makin hain abhi unhen tajrabe nahin hain

KHabar nahin hai ki aage chal kar hai kaisi manzil hain kaisi jade

dilon mein un ke hai nur-e-iman qawi nahin hai magar nigahban

hawa-e-mantiq ada-e-tifli ye shama aisa na ho bujha de

fareb de kar nikale matlab sikhae tahqir-e-din-o-mazhab

miTa de aaKHir ko waz-e-millat numud-e-zati ko gar baDha de

yahi bas 'akbar' ki iltija hai janab-e-bari mein ye dua hai

ulum-o-hikmat ka dars un ko professor den samajh KHuda de

(1198) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHuda Ali-gaDh Ki Madrase Ko Tamam Amraaz Se Shifa De In English By Famous Poet Akbar Allahabadi. KHuda Ali-gaDh Ki Madrase Ko Tamam Amraaz Se Shifa De is written by Akbar Allahabadi. Read famous Poem KHuda Ali-gaDh Ki Madrase Ko Tamam Amraaz Se Shifa De for youth and Student by Akbar Allahabadi. Free Download KHuda Ali-gaDh Ki Madrase Ko Tamam Amraaz Se Shifa De in PDF.