KHushi Kya Ho Jo Meri Baat Wo But Man Jata Hai

KHushi kya ho jo meri baat wo but man jata hai

maza to behad aata hai magar iman jata hai

banun council mein speaker to ruKHsat qiraat-e-misri

karun kya membari jati hai ya quran jata hai

zawal-e-jah o daulat mein bas itni baat achchhi hai

ki duniya mein ba-KHubi aadmi pahchan jata hai

nai tahzib mein diqqat ziyaada to nahin hoti

mazahib rahte hain qaim faqat iman jata hai

theater raat ko aur din ko yaron ki ye speechen

duhai laT sahab ki mera iman jata hai

jahan dil mein ye aai kuchh kahun wo chal diya uTh kar

ghazab hai fitna hai zalim nazar pahchan jata hai

chunan burdund sabr az dil ke qisse yaad aate hain

taDap jata hun ye sun kar ki ab iman jata hai

(965) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHushi Kya Ho Jo Meri Baat Wo But Man Jata Hai In English By Famous Poet Akbar Allahabadi. KHushi Kya Ho Jo Meri Baat Wo But Man Jata Hai is written by Akbar Allahabadi. Read famous Poem KHushi Kya Ho Jo Meri Baat Wo But Man Jata Hai for youth and Student by Akbar Allahabadi. Free Download KHushi Kya Ho Jo Meri Baat Wo But Man Jata Hai in PDF.