Kya Jaaniye Sayyad The Haq Aagah Kahan Tak

kya jaaniye sayyad the haq aagah kahan tak

samjhe na ki sidhi hai meri rah kahan tak

mantiq bhi to ek chiz hai ai qibla o kaba

de sakti hai kaam aap ki wallah kahan tak

aflak to is ahd mein sabit hue madum

ab kya kahun jati hai meri aah kahan tak

kuchh sanat o hirfat pe bhi lazim hai tawajjoh

aaKHir ye gowernment se tanKHwah kahan tak

marna bhi zaruri hai KHuda bhi hai koi chiz

ai hirs ke bando hawas-e-jah kahan tak

tahsin ke laeq tera har sher hai 'akbar'

ahbab karen bazm mein ab wah kahan tak

(1154) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Jaaniye Sayyad The Haq Aagah Kahan Tak In English By Famous Poet Akbar Allahabadi. Kya Jaaniye Sayyad The Haq Aagah Kahan Tak is written by Akbar Allahabadi. Read famous Poem Kya Jaaniye Sayyad The Haq Aagah Kahan Tak for youth and Student by Akbar Allahabadi. Free Download Kya Jaaniye Sayyad The Haq Aagah Kahan Tak in PDF.