Phir Gai Aap Ki Do Din Mein Tabiat Kaisi

phir gai aap ki do din mein tabiat kaisi

ye wafa kaisi thi sahab ye murawwat kaisi

dost ahbab se hans bol ke kaT jaegi raat

rind-e-azad hain hum ko shab-e-furqat kaisi

jis hasin se hui ulfat wahi mashuq apna

ishq kis chiz ko kahte hain tabiat kaisi

hai jo qismat mein wahi hoga na kuchh kam na siwa

aarzu kahte hain kis chiz ko hasrat kaisi

haal khulta nahin kuchh dil ke dhaDakne ka mujhe

aaj rah rah ke bhar aati hai tabiat kaisi

kucha-e-yar mein jata to nazara karta

qais aawara hai jangal mein ye wahshat kaisi

(1118) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Gai Aap Ki Do Din Mein Tabiat Kaisi In English By Famous Poet Akbar Allahabadi. Phir Gai Aap Ki Do Din Mein Tabiat Kaisi is written by Akbar Allahabadi. Read famous Poem Phir Gai Aap Ki Do Din Mein Tabiat Kaisi for youth and Student by Akbar Allahabadi. Free Download Phir Gai Aap Ki Do Din Mein Tabiat Kaisi in PDF.