Yun Meri Taba Se Hote Hain Maani Paida

yun meri taba se hote hain maani paida

jaise sawan ki ghaTaon se ho pani paida

kya ghazab hai nigah-e-mast-e-mis-e-baada-farosh

shaiKH fani mein hua rang-e-jawani paida

ye jawani hai ki pata hai junun jis se zuhur

ye na samjho ki junun se hai jawani paida

be-KHudi mein to ye jhagDe nahin rahte ai hosh

tu ne kar rakkha hai ek aalam-e-fani paida

koi mauqa nikal aae ki bas aanhken mil jaen

rahen phir aap hi kar legi jawani paida

har talluq mera sarmaya hai ek nowel ka

meri har raat se hai ek kahani paida

jang hai jurm mohabbat hai KHilaf-e-tahzib

ho chuka walwala-e-ahd-e-jawani paida

kho gai hind ki firdaus-e-nishani 'akbar'

kash ho jae koi 'milton'-e-sani paida

(1261) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yun Meri Taba Se Hote Hain Maani Paida In English By Famous Poet Akbar Allahabadi. Yun Meri Taba Se Hote Hain Maani Paida is written by Akbar Allahabadi. Read famous Poem Yun Meri Taba Se Hote Hain Maani Paida for youth and Student by Akbar Allahabadi. Free Download Yun Meri Taba Se Hote Hain Maani Paida in PDF.