Abhi Zamin Ko Haft Aasman Banana Hai

abhi zamin ko haft aasman banana hai

isi jahan ko mujhe do-jahan banana hai

bhaTak raha hai akela jo koh-o-sahra mein

us ek aadmi ko karwan banana hai

ye shaKH-e-gul jo ghiri hai hazar kanTon mein

mujhe isi se naya gulistan banana hai

main jaanta hun mujhe kya banana hai lekin

wahan banane se pahle yahan banana hai

charagh le ke use shahr shahr DhunDhta hun

bas ek shaKHs mujhe raaz-dan banana hai

hamein bhi umr-guzari to karni hai 'akbar'

unhen bhi mashghala-e-dil-baran banana hai

(674) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Abhi Zamin Ko Haft Aasman Banana Hai In English By Famous Poet Akbar Hameedi. Abhi Zamin Ko Haft Aasman Banana Hai is written by Akbar Hameedi. Read famous Poem Abhi Zamin Ko Haft Aasman Banana Hai for youth and Student by Akbar Hameedi. Free Download Abhi Zamin Ko Haft Aasman Banana Hai in PDF.