Nam Akbar To Mera Man Ki Dua Ne Rakkha

nam 'akbar' to mera man ki dua ne rakkha

han bharam us ka magar mere KHuda ne rakkha

wo bhi din tha ki tere aane ka paigham aaya

tab mere ghar mein qadam baad-e-saba ne rakkha

kis tarah logon ne mangin thin duaen us ki

kuchh lihaz is ka na be-mehr hawa ne rakkha

aise haalat mein ek roz na ji sakte the

hum ko zinda tere paiman-e-wafa ne rakkha

ittifaqat ke pichhe bhi hain asbab-o-ilal

ek na ek apna sabab dast-e-qaza ne rakkha

jis ne rakkha teri miTti hui qadron ka lihaz

kuchh KHayal is ka nahin tu ne zamane rakkha

sirf 'akbar' hi nahin dekh ke taswir hua

sab ko hairan tere naqsh-e-kaf-e-pa ne rakkha

(680) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nam Akbar To Mera Man Ki Dua Ne Rakkha In English By Famous Poet Akbar Hameedi. Nam Akbar To Mera Man Ki Dua Ne Rakkha is written by Akbar Hameedi. Read famous Poem Nam Akbar To Mera Man Ki Dua Ne Rakkha for youth and Student by Akbar Hameedi. Free Download Nam Akbar To Mera Man Ki Dua Ne Rakkha in PDF.