Rah-e-guman Se Ajab Karwan Guzarte Hain

rah-e-guman se ajab karwan guzarte hain

meri zamin se kai aasman guzarte hain

jo raat hoti hai kaisi mahakti hain galiyan

jo din nikalta hai kya kya butan guzarte hain

kabhi jo waqt zamane ko deta hai gardish

mere makan se bhi kuchh la-makan guzarte hain

kabhi jo dekhte hain muskura ke aap idhar

dil-o-nigah mein kya kya guman guzarte hain

(635) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rah-e-guman Se Ajab Karwan Guzarte Hain In English By Famous Poet Akbar Hameedi. Rah-e-guman Se Ajab Karwan Guzarte Hain is written by Akbar Hameedi. Read famous Poem Rah-e-guman Se Ajab Karwan Guzarte Hain for youth and Student by Akbar Hameedi. Free Download Rah-e-guman Se Ajab Karwan Guzarte Hain in PDF.