Zor-o-zar Ka Hi Silsila Hai Yahan

zor-o-zar ka hi silsila hai yahan

lafz ko kaun puchhta hai yahan

pahla to ab kisi jagah bhi nahin

jis taraf dekho dusra hai yahan

raat din phir raha hun galiyon mein

mera ek shaKHs kho gaya hai yahan

sehr hai ya tilism hai kya hai

har koi rah bhulta hai yahan

har kahin sach hi bolna chahe

shayad 'akbar' naya naya hai yahan

(902) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Zor-o-zar Ka Hi Silsila Hai Yahan In English By Famous Poet Akbar Hameedi. Zor-o-zar Ka Hi Silsila Hai Yahan is written by Akbar Hameedi. Read famous Poem Zor-o-zar Ka Hi Silsila Hai Yahan for youth and Student by Akbar Hameedi. Free Download Zor-o-zar Ka Hi Silsila Hai Yahan in PDF.