GhuTan Azab-e-badan Ki Na Meri Jaan Mein La

ghuTan azab-e-badan ki na meri jaan mein la

badal ke ghar mera mujh ko mere makan mein la

meri ikai ko izhaar ka wasila de

meri nazar ko mere dil ko imtihan mein la

saKHi hai wo to saKHawat ki laj rakh lega

sawal arz-e-talab ka na darmiyan mein la

dil-e-wajud ko jo chir kar guzar jae

ek aisa tir tu apni kaDi kaman mein la

hai wo to hadd-e-giraft-e-KHayal se bhi pare

ye soch kar hi KHayal us ka apne dhyan mein la

badan tamam usi ki sada se gunj uThe

talatum aisa koi aaj meri jaan mein la

charagh-e-rahguzar lakh tabnak sahi

jala ke apna diya raushni makan mein la

ba-rang-e-KHwab sahi sari kaenat 'akbar'

wajud-e-kul ko na andesha-e-guman mein la

(951) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

GhuTan Azab-e-badan Ki Na Meri Jaan Mein La In English By Famous Poet Akbar Hyderabadi. GhuTan Azab-e-badan Ki Na Meri Jaan Mein La is written by Akbar Hyderabadi. Read famous Poem GhuTan Azab-e-badan Ki Na Meri Jaan Mein La for youth and Student by Akbar Hyderabadi. Free Download GhuTan Azab-e-badan Ki Na Meri Jaan Mein La in PDF.