Ye Sare Phul Ye Patthar Usi Se Milte Hain

ye sare phul ye patthar usi se milte hain

to ai aziz hum aksar usi se milte hain

KHuda gawah ki un mein wahi halakat hai

ye tegh-o-tir ye KHanjar usi se milte hain

wo ek bar nahin hai hazar bar hai wo

so hum usi se bichhaD kar usi se milte hain

bichha hua hai wo goya bisat ki surat

ye sab safed-o-siyah ghar usi se milte hain

ye dhup chhanw ye aab-e-rawan ye abr ye phul

ye aasman ye kabutar usi se milte hain

ye KHas saz-e-azal se wo dajla-e-ahang

ye nil-o-zamzam-o-kausar usi se milte hain

ye motiya ye chameli ye mogra ye gulab

ye sare gahne ye zewar usi se milte hain

aqiq gauhar-o-almas nilam-o-yaqut

ye sab nagine ye kankar usi se milte hain

(1317) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Sare Phul Ye Patthar Usi Se Milte Hain In English By Famous Poet Akbar Masoom. Ye Sare Phul Ye Patthar Usi Se Milte Hain is written by Akbar Masoom. Read famous Poem Ye Sare Phul Ye Patthar Usi Se Milte Hain for youth and Student by Akbar Masoom. Free Download Ye Sare Phul Ye Patthar Usi Se Milte Hain in PDF.