KHizan Mein Aag Lagao Bahaar Ke Din Hain

KHizan mein aag lagao bahaar ke din hain

nae shagufe khilao bahaar ke din hain

ulaT do taKHta KHizan ki tabah-kari ka

bisat-e-aish bichhao bahaar ke din hain

ezar-e-gul ki dahak se jala ke kanTon ko

lagi dilon ki bujhao bahaar ke din hain

mila ke qatra-e-shabnam mein rang o nikhat-e-gul

koi sharab banao bahaar ke din hain

bhare kaTore chaman ke ye dars dete hain

chhalakte jam lunDhao bahaar ke din hain

ab ehtiyat-pasandi hai sai-e-na-mashkur

mata-e-zabt luTao bahaar ke din hain

sharar-e-gul se zamane mein shole bhaDka do

hasin fitne jagao bahaar ke din hain

junun-e-shauq ki be-e'tidaliyon ke KHilaf

koi dalil na lao bahaar ke din hain

purani shamen bujha din saba ke jhonkon ne

nae charagh jalao bahaar ke din hain

lachak rahi hai wafur-e-samar se shaKH-e-hayat

ye bar hans ke uThao bahaar ke din hain

janab-e-aKHtar-e-jaan-dada-e-ruKH-e-gul ko

imam-e-waqt banao bahaar ke din hain

(827) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHizan Mein Aag Lagao Bahaar Ke Din Hain In English By Famous Poet Akhtar Ansari. KHizan Mein Aag Lagao Bahaar Ke Din Hain is written by Akhtar Ansari. Read famous Poem KHizan Mein Aag Lagao Bahaar Ke Din Hain for youth and Student by Akhtar Ansari. Free Download KHizan Mein Aag Lagao Bahaar Ke Din Hain in PDF.