Kisi Se LaDaen Nazar Aur Jhelen Mohabbat Ke Gham Itni Fursat Kahan

kisi se laDaen nazar aur jhelen mohabbat ke gham itni fursat kahan

uThaen kisi mah-paikar hasina ke jaur-o-sitam itni fursat kahan

zamane ki be-rahmiyon ke tasadduq dimagh-e-nashat-o-alam hi nahin

dil apna kare aarzu-e-jafa ya umid-e-karam itni fursat kahan

Dubo den mai-e-nab ki mastiyon mein falakat ke nakbat ke ehsas ko

bana len kisi aamiyana se kuze hi ko jam-e-jam itni fursat kahan

hon aazad-e-afkar lekin tafakkur mein Dube hue se rahen raat din

tabiat ki be-wajh afsurdagi ke maze luTen hum itni fursat kahan

na mazi hamara na mustaqbil apna kuchh is taur se harf-e-imroz hain

gham-e-dosh ya fikr-e-farda mein 'aKHtar' karen sar ko KHam itni fursat kahan

(788) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Se LaDaen Nazar Aur Jhelen Mohabbat Ke Gham Itni Fursat Kahan In English By Famous Poet Akhtar Ansari. Kisi Se LaDaen Nazar Aur Jhelen Mohabbat Ke Gham Itni Fursat Kahan is written by Akhtar Ansari. Read famous Poem Kisi Se LaDaen Nazar Aur Jhelen Mohabbat Ke Gham Itni Fursat Kahan for youth and Student by Akhtar Ansari. Free Download Kisi Se LaDaen Nazar Aur Jhelen Mohabbat Ke Gham Itni Fursat Kahan in PDF.