Lutf Le Le Ke Piye Hain Qadah-e-gham Kya Kya

lutf le le ke piye hain qadah-e-gham kya kya

hum ne firdaus banae hain jahannam kya kya

aansuon ko bhi piya jura-e-sahba ki tarah

saghar-o-jam bane dida-e-pur-nam kya kya

halqa-e-dam-e-wafa uqda-e-gham mauj-e-nashat

ye zamana bhi dikhata hai cham-o-KHam kya kya

lazzat-e-hijr kabhi ishrat-e-didar kabhi

aarzu ne bhi tabiat ko diye dam kya kya

kis kis andaz se khaTke rag-e-gul ke nashtar

tapish-afroz hue shoala-o-shabnam kya kya

sham-e-viran ki udasi shab-e-tira ka sukut

dil-e-mahzun ko mile hamdam o mahram kya kya

hae wo aalam-e-be-nam ki jis aalam mein

bit jate hain dil-e-zar pe aalim kya kya

ismat o rifat-e-anjum se KHayal aata hai

KHak mein rondi gai hurmat-e-adam kya kya

dab gae minnat-e-mazdur se aiwan kitne

jhuk gae ghairat-e-maftuh se parcham kya kiya

the musallah gham-e-mashuq se go hum 'aKHtar'

phir bhi dikhlae gham-e-dahr ne dam-KHam kya kya

(722) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lutf Le Le Ke Piye Hain Qadah-e-gham Kya Kya In English By Famous Poet Akhtar Ansari. Lutf Le Le Ke Piye Hain Qadah-e-gham Kya Kya is written by Akhtar Ansari. Read famous Poem Lutf Le Le Ke Piye Hain Qadah-e-gham Kya Kya for youth and Student by Akhtar Ansari. Free Download Lutf Le Le Ke Piye Hain Qadah-e-gham Kya Kya in PDF.