Tera Aasman Nawakon Ka KHazina Hayat-afrina Hayat-afrina

tera aasman nawakon ka KHazina hayat-afrina hayat-afrina

hamari zamin lal-o-gul ka dafina hayat-afrina hayat-afrina

hue nam aur nang sab gharq-e-sahba meri mai-gusari ki hogi saza kya

tere nam ka ek jura yahi na hayat-afrina hayat-afrina

tere wada-e-rizq ki hai duhai agar rizq aazuqa-e-ruh bhi hai

to hum to hain mahrum-e-nan-e-shabina hayat-afrina hayat-afrina

na sanson mein josh-e-numu ka talatum na marne ke gham mein gudaz-e-tallum

ye jina bhi hai koi jine mein jina hayat-afrina hayat-afrina

zamin ka kaleja bahut phunk raha hai falak phaT paDe qulzum-e-KHun rawan ho

jabin-e-mashiyyat se Tapke pasina hayat-afrina hayat-afrina

mah-o-mehr-o-anjum falak ke dulare teri mumlikat ke hasin shahzade

hamari zamin kaenati hasina hayat-afrina hayat-afrina

nahin 'aKHtar'-e-zar mayus KHud se ki zulmat bhi chhaTti hai darja-ba-darja

utarti hai rahmat bhi zina-ba-zina hayat-afrina hayat-afrina

(644) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tera Aasman Nawakon Ka KHazina Hayat-afrina Hayat-afrina In English By Famous Poet Akhtar Ansari. Tera Aasman Nawakon Ka KHazina Hayat-afrina Hayat-afrina is written by Akhtar Ansari. Read famous Poem Tera Aasman Nawakon Ka KHazina Hayat-afrina Hayat-afrina for youth and Student by Akhtar Ansari. Free Download Tera Aasman Nawakon Ka KHazina Hayat-afrina Hayat-afrina in PDF.