Ye Sanam Riwayat-o-naql Ke Hubal-o-manat Se Kam Nahin

ye sanam riwayat-o-naql ke hubal-o-manat se kam nahin

tera fikr waiz-e-haq-nawa kisi somnat se kam nahin

kahin barq chamke main jal uThun koi tara TuTe main ro paDun

ye dil-e-sitam-zada ham-nashin dil-e-kaenat se kam nahin

kahin rang-o-nur-e-jamal hai kahin bim-o-fikr-e-maal hai

kahin sham ghairat-e-subh hai kahin din bhi raat se kam nahin

jise kahiye raqs-e-sharar-e-gham wo agar ho shamil-e-gham to phir

gham-e-dil ho ya gham-e-zindagi gham-e-kaenat se kam nahin

ye surur 'aKHtar'-e-dil-zada rajaz-e-bahaar-o-shabab hai

ye buland hoti hui fughan alam-e-hayat se kam nahin

(756) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Sanam Riwayat-o-naql Ke Hubal-o-manat Se Kam Nahin In English By Famous Poet Akhtar Ansari. Ye Sanam Riwayat-o-naql Ke Hubal-o-manat Se Kam Nahin is written by Akhtar Ansari. Read famous Poem Ye Sanam Riwayat-o-naql Ke Hubal-o-manat Se Kam Nahin for youth and Student by Akhtar Ansari. Free Download Ye Sanam Riwayat-o-naql Ke Hubal-o-manat Se Kam Nahin in PDF.