Kise KHabar Jab Main Shahr-e-jaan Se Guzar Raha Tha

kise KHabar jab main shahr-e-jaan se guzar raha tha

zamin thi pahlu mein suraj ek kos par raha tha

hawa mein KHushbuen meri pahchan ban gai thin

main apni miTTi se phul ban kar ubhar raha tha

ajib sargoshiyon ka aalam tha anjuman mein

main sun raha tha zamana tanqid kar raha tha

wo kaisi chhat thi jo mujh ko aawaz de rahi thi

wo kya nagar tha jahan main chup-chap utar raha tha

main dekhta tha ki ungliyon mein diye ki lau hai

main jagta tha ki rang KHwabon mein bhar raha tha

ye baat alag hai ki main ne jhanka nahin gali mein

ye sach hai koi sadaen deta guzar raha tha

ye chand be-harf-o-saut KHake mera asasa

main jin ko ghazlon ka nam de kar sanwar raha tha

zamana shabnam ke bhes mein aaya aur dua di

main zard-rut mein jab apni bahon mein mar raha tha

mujhe kisi se naqab-zani ka KHatar nahin tha

main 'aKHtar' apne hi jasad-e-KHaki se Dar raha tha

(694) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kise KHabar Jab Main Shahr-e-jaan Se Guzar Raha Tha In English By Famous Poet Akhtar Hoshiyarpuri. Kise KHabar Jab Main Shahr-e-jaan Se Guzar Raha Tha is written by Akhtar Hoshiyarpuri. Read famous Poem Kise KHabar Jab Main Shahr-e-jaan Se Guzar Raha Tha for youth and Student by Akhtar Hoshiyarpuri. Free Download Kise KHabar Jab Main Shahr-e-jaan Se Guzar Raha Tha in PDF.