Wo Ratjaga Tha Ki Afsun-e-KHwab Tari Tha

wo ratjaga tha ki afsun-e-KHwab tari tha

diye ki lau pe sitaron ka raqs jari tha

main us ko dekhta tha dam-ba-KHud tha hairan tha

kise KHabar wo kaDa waqt kitna bhaari tha

guzarte waqt ne kya kya na chaara sazi ki

wagarna zaKHm jo us ne diya tha kari tha

dayar-e-jaan mein baDi der mein ye baat khuli

mera wajud hi KHud nang dost-dari tha

kise bataun main apni nawa ki ramz 'aKHtar'

ki harf jo nahin utre main un ka qari tha

(798) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Ratjaga Tha Ki Afsun-e-KHwab Tari Tha In English By Famous Poet Akhtar Hoshiyarpuri. Wo Ratjaga Tha Ki Afsun-e-KHwab Tari Tha is written by Akhtar Hoshiyarpuri. Read famous Poem Wo Ratjaga Tha Ki Afsun-e-KHwab Tari Tha for youth and Student by Akhtar Hoshiyarpuri. Free Download Wo Ratjaga Tha Ki Afsun-e-KHwab Tari Tha in PDF.