Zamin Par Hi Rahe Aasman Ke Hote Hue

zamin par hi rahe aasman ke hote hue

kahin na ghar se gae karwan ke hote hue

main kis ka nam na lun aur nam lun kis ka

hazaron phul khile the KHizan ke hote hue

badan ki jaise hawaon ki zad mein koi charagh

ye apna haal tha ek mehrban ke hote hue

hamein KHabar hai koi ham-safar na tha phir bhi

yaqin ki manzilen tai kin guman ke hote hue

wo be-niyaz hain hum mustaqil kahin na ruke

kisi ke naqsh-e-qadam aastan ke hote hue

har ek raKHt-e-safar ko uThae phirta tha

koi makin na kahin tha makan ke hote hue

ye saneha bhi mere aansuon pe guzra hai

nigah bolti thi tarjuman ke hote hue

hidayaton ka hai mohtaj nama-bar ki tarah

faqih-e-shahr tilism-e-bayan ke hote hue

ajib nur se rishta tha nur ka aKHtar

kai charagh jale kahkashan ke hote hue

(1626) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zamin Par Hi Rahe Aasman Ke Hote Hue In English By Famous Poet Akhtar Hoshiyarpuri. Zamin Par Hi Rahe Aasman Ke Hote Hue is written by Akhtar Hoshiyarpuri. Read famous Poem Zamin Par Hi Rahe Aasman Ke Hote Hue for youth and Student by Akhtar Hoshiyarpuri. Free Download Zamin Par Hi Rahe Aasman Ke Hote Hue in PDF.