Tapish Gulzar Tak Pahunchi Lahu Diwar Tak Aaya

tapish gulzar tak pahunchi lahu diwar tak aaya

charagh-e-KHud-kalami ka dhuan bazar tak aaya

hua kaghaz musawwar ek paigham-e-zabani se

suKHan taswir tak pahuncha hunar purkar tak aaya

abas tarik raste ko tah-e-KHurshid-e-jaan rakkha

yahi tar-e-nafas aazar se paikar tak aaya

mohabbat ka bhanwar apna shikayat ki jihat apni

wo mehwar dusra tha jo mere pindar tak aaya

ajab chehra safar ka tha hawas ke zard pani mein

qadam daldal se nikla to KHat-e-raftar tak aaya

phir is ke baad tambur o alam na-mo'tabar Thahre

koi qasid na is sham-e-shikast-asar tak aaya

(1027) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tapish Gulzar Tak Pahunchi Lahu Diwar Tak Aaya In English By Famous Poet Akhtar Husain Jafri. Tapish Gulzar Tak Pahunchi Lahu Diwar Tak Aaya is written by Akhtar Husain Jafri. Read famous Poem Tapish Gulzar Tak Pahunchi Lahu Diwar Tak Aaya for youth and Student by Akhtar Husain Jafri. Free Download Tapish Gulzar Tak Pahunchi Lahu Diwar Tak Aaya in PDF.