Ek Inam Ke Kitne Nam Hain

ek pahchan ke kitne ism hain

ek inam ke kitne nam hain

tera nam wo baadal jis ka paighambar par dasht-e-jabal mein saya hai

tera nam wo barkha jis ka rim-jhim pani

wadi mein dariya kahlae aur samundar banta jae

tera nam wo suraj jis ka sona sab ki milkiyyat hai

jis ka sikka mulkon mulkon jari hai

tera nam wo harf jise imkan ki lauh par dekh ke main ne

pesh-o-pas se nuqta nuqta joD liya hai

ismon wale harfon wale namon wale

mujh ko bhi ek nam ata kar

meri jholi midhat karti bundon kirnon chamkile harfon se bhar de

(838) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Inam Ke Kitne Nam Hain In English By Famous Poet Akhtar Husain Jafri. Ek Inam Ke Kitne Nam Hain is written by Akhtar Husain Jafri. Read famous Poem Ek Inam Ke Kitne Nam Hain for youth and Student by Akhtar Husain Jafri. Free Download Ek Inam Ke Kitne Nam Hain in PDF.