Udas Kohsar Ke Nauhe

pura jism aur jalta suraj

pure jism aur jalte suraj ke atraf mein

shorida-sar wahshi pani

dariyaon ko pure jism aur wahshi pani achchhe lagte hain

donon par phaila kar uDna

sare rang saja kar uDna

titli ko hamwar hawaen achchhi lagti hain

ThanDi ret pe jism sunahra

sans se sans ka rishta gahra

tum mathe se matha joDe

meri sans mein sans mila kar kis KHwahish ke sach ka

jhilmil jhilmil aansu DhunDhti ho

piritam pital ho, sona ho

tundi-e-shauq mein sare gahne achchhe lagte hain

(877) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Udas Kohsar Ke Nauhe In English By Famous Poet Akhtar Husain Jafri. Udas Kohsar Ke Nauhe is written by Akhtar Husain Jafri. Read famous Poem Udas Kohsar Ke Nauhe for youth and Student by Akhtar Husain Jafri. Free Download Udas Kohsar Ke Nauhe in PDF.