Jite-ji Dukh Sukh Ke Lamhe Aate Jate Rahte Hain

jite-ji dukh sukh ke lamhe aate jate rahte hain

hum to zara si baat pe pahron ashk bahate rahte hain

wo apne mathe par jhuTe rog saja kar phirte hain

hum apni aankhon ke jalte zaKHm chhupate rahte hain

soch se paikar kaise tarshe soch ka ant nirala hai

KHak pe baiThe aaDe-tirchhe naqsh banate rahte hain

sahil sahil dar saje hain mauj mauj zanjiren hain

Dubne wale dariya dariya jashn manate rahte hain

'aKHtar' ab insaf ki aankhen zar ki khanak se khulti hain

hum pagal hain lohe ki zanjir hilate rahte hain

(786) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jite-ji Dukh Sukh Ke Lamhe Aate Jate Rahte Hain In English By Famous Poet Akhtar Imam Rizvi. Jite-ji Dukh Sukh Ke Lamhe Aate Jate Rahte Hain is written by Akhtar Imam Rizvi. Read famous Poem Jite-ji Dukh Sukh Ke Lamhe Aate Jate Rahte Hain for youth and Student by Akhtar Imam Rizvi. Free Download Jite-ji Dukh Sukh Ke Lamhe Aate Jate Rahte Hain in PDF.