Jurm-e-hasti Ki Saza Kyun Nahin Dete Mujhko

jurm-e-hasti ki saza kyun nahin dete mujh ko

log jine ki dua kyun nahin dete mujh ko

sarsar-e-KHun ke tasawwur se larazte kyun ho

KHak-e-sahra hun uDa kyun nahin dete mujh ko

kyun takalluf hai mere nam pe taziron ka

main bura hun to bhala kyun nahin dete mujh ko

ab tumhaare liye KHud apna tamashai hun

dosto dad-e-wafa kyun nahin dete mujh ko

main musafir hi sahi raat ki KHamoshi ka

tum sahar ho to sada kyun nahin dete mujh ko

jins-e-bazar ki surat hun jahan main 'aKHtar'

log shishon mein saja kyun nahin dete mujh ko

(876) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jurm-e-hasti Ki Saza Kyun Nahin Dete Mujhko In English By Famous Poet Akhtar Imam Rizvi. Jurm-e-hasti Ki Saza Kyun Nahin Dete Mujhko is written by Akhtar Imam Rizvi. Read famous Poem Jurm-e-hasti Ki Saza Kyun Nahin Dete Mujhko for youth and Student by Akhtar Imam Rizvi. Free Download Jurm-e-hasti Ki Saza Kyun Nahin Dete Mujhko in PDF.