Maqam-e-dil Bahut Uncha Bana Hai

maqam-e-dil bahut uncha bana hai

kamand-e-aql ab tak na-rasa hai

farogh-e-ishq se betab jalwe

harim-e-naz mein mahshar bapa hai

mizaj-e-husn mein ye dard-mandi

ba-faiz-e-ishq kya se kya hua hai

KHirad hai justuju-e-soz-e-atish

mohabbat aarzu-e-barmala hai

nawazish un ki muhtaj-e-mohabbat

meri kam-maegi ka aasra hai

chaman ki nikhat-afshani ka bais

ye mauj-e-gul hai ya mauj-e-saba hai

bhala kyun ho tujhe meri zarurat

ki tu sare zamane ka KHuda hai

(845) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maqam-e-dil Bahut Uncha Bana Hai In English By Famous Poet Akhtar Orenvi. Maqam-e-dil Bahut Uncha Bana Hai is written by Akhtar Orenvi. Read famous Poem Maqam-e-dil Bahut Uncha Bana Hai for youth and Student by Akhtar Orenvi. Free Download Maqam-e-dil Bahut Uncha Bana Hai in PDF.