SannaTa

meri gardan mere shane mere lab

sab ke sab viran hain

apne ghar mein ek main hun

aur kali raat ka pur-haul sannaTa

kisi ke panw ki aahaT nahin

chuDiyon aur bartanon ki khan-khanahaT bhi nahin

sui dhage ek duje se bhare baiThe hue hain

dhul mein lipTi kitaben

mez par bikhri paDi hain

aur chulha

lakDiyon ki yaad mein gum-sum

ek kone mein paDa hai

aur ek an-jaana saya

ghar ki chaukhaT par khaDa hai

ek hasin-taswir jo diwar par laTki hui hai

dekh kar mujh ko malul

chupke chupke ro rahi hai

aur kali raat ka pur-haul sannaTa

khilkhila kar hans raha hai

(655) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

SannaTa In English By Famous Poet Akhtar Rahi. SannaTa is written by Akhtar Rahi. Read famous Poem SannaTa for youth and Student by Akhtar Rahi. Free Download SannaTa in PDF.