Kahen Kis Se Hamara Kho Gaya Kya

kahen kis se hamara kho gaya kya

kisi ko kya ki hum ko ho gaya kya

khuli aankhon nazar aata nahin kuchh

har ek se puchhta hun wo gaya kya

mujhe har baat par jhuTla rahi hai

ye tujh bin zindagi ko ho gaya kya

udasi rah ki kuchh kah rahi hai

musafir raste mein kho gaya kya

ye basti is qadar sunsan kab thi

dil-e-shorida thak kar so gaya kya

chaman-arai thi jis gul ka shewa

meri rahon mein kanTe bo gaya kya

(759) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahen Kis Se Hamara Kho Gaya Kya In English By Famous Poet Akhtar Saeed Khan. Kahen Kis Se Hamara Kho Gaya Kya is written by Akhtar Saeed Khan. Read famous Poem Kahen Kis Se Hamara Kho Gaya Kya for youth and Student by Akhtar Saeed Khan. Free Download Kahen Kis Se Hamara Kho Gaya Kya in PDF.