Lab-e-sukut Pe Ek Harf-e-be-nawa Bhi Nahin

lab-e-sukut pe ek harf-e-be-nawa bhi nahin

wo raat hai ki kisi ko sar-e-dua bhi nahin

KHamosh rahiye to kya kya sadaen aati hain

pukariye to koi muD ke dekhta bhi nahin

jo dekhiye to jilau mein hain mehr-o-mah-o-nujum

jo sochiye to safar ki ye ibtida bhi nahin

qadam hazar jihat-ashna sahi lekin

guzar gaya hun jidhar se wo rasta bhi nahin

kisi ke tum ho kisi ka KHuda hai duniya mein

mere nasib mein tum bhi nahin KHuda bhi nahin

ye kaisa KHwab hai pichhle pahar ke sannaTo

bikhar gaya hai aur aankhon se chhuTta bhi nahin

is izhdiham mein kya nam kya nishan 'aKHtar'

mila wo hans ke magar mujh se aashna bhi nahin

(744) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lab-e-sukut Pe Ek Harf-e-be-nawa Bhi Nahin In English By Famous Poet Akhtar Saeed Khan. Lab-e-sukut Pe Ek Harf-e-be-nawa Bhi Nahin is written by Akhtar Saeed Khan. Read famous Poem Lab-e-sukut Pe Ek Harf-e-be-nawa Bhi Nahin for youth and Student by Akhtar Saeed Khan. Free Download Lab-e-sukut Pe Ek Harf-e-be-nawa Bhi Nahin in PDF.