Ye Humse Puchhte Ho Ranj-e-imtihan Kya Hai

ye hum se puchhte ho ranj-e-imtihan kya hai

tumhin kaho sila-e-KHun-e-kushtagan kya hai

asir-e-band-e-KHizan hun na puchh ai sayyaad

KHiram kya hai saba kya hai gulsitan kya hai

hui hai umr ki dil ko nazar se rabt nahin

magar ye silsila-e-chashm-e-KHun-fishan kya hai

nazar uThe to na samjhun jhuke to kya samjhun

sukut-e-naz ye paira-e-bayan kya hai

bahen na aankh se aansu to naghmagi be-sud

khilen na phul to rangini-e-fughan kya hai

nigah-e-yas tere hath hai bharam dil ka

kahin wo jaan na len ishq ki zaban kya hai

ye aur baat ki hum tum ko bewafa na kahen

magar ye jaante hain jaur-e-asman kya hai

main shikwa-sanj nahin apni tira-baKHti ka

magar batao to ye subh-e-zar-fishan kya hai

(964) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Humse Puchhte Ho Ranj-e-imtihan Kya Hai In English By Famous Poet Akhtar Saeed Khan. Ye Humse Puchhte Ho Ranj-e-imtihan Kya Hai is written by Akhtar Saeed Khan. Read famous Poem Ye Humse Puchhte Ho Ranj-e-imtihan Kya Hai for youth and Student by Akhtar Saeed Khan. Free Download Ye Humse Puchhte Ho Ranj-e-imtihan Kya Hai in PDF.