Bala-e-tira-shabi Ka Jawab Le Aae
bala-e-tira-shabi ka jawab le aae
bujhe charagh to hum aaftab le aae
bikhar gae jo kabhi chashm-e-intizar ke rang
is anjuman se hum ek aur KHwab le aae
hum is zamin pe mizan-e-adl rakhte hain
kaho zamane se fard-e-hisab le aae
har ek gham se salamat guzar gaya hai dil
KHuda kare ki mohabbat ki tab le aae
gae the hum bhi in aankhon se mangne kya kya
wahi hua ki bas ek iztirab le aae
hamari laghzish-e-paiham ko raegan na samajh
ajab nahin ki yahi inqalab le aae
na lae kuchh bhi hum aashob-e-dahr mein 'aKHtar'
bas ek hausla-e-iztirab le aae
(1803) Peoples Rate This