Aao Be-parda Tumhein Jalwa-e-pinhan Ki Qasam

aao be-parda tumhein jalwa-e-pinhan ki qasam

hum na chheDenge hamein zulf-e-pareshan ki qasam

chaak-e-daman ki qasam chaak-e-gareban ki qasam

hansne wale tujhe is haal-e-pareshan ki qasam

mere arman se waqif nahin sharmaenge aap

aap kyun khate hain nahaq mere arman ki qasam

nind aae na kabhi tujh se bichhaD kar zalim

apni aankhon ki qasam tere shabistan ki qasam

lab-e-jaanan pe fida aariz-e-jaanan ke nisar

sham-e-rangin ki qasam subh-e-daraKHshan ki qasam

aaj tak subh-e-watan yaad hai hum ko 'aKHtar'

dard-e-hijran ki qasam sham-e-ghariban ki qasam

(788) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aao Be-parda Tumhein Jalwa-e-pinhan Ki Qasam In English By Famous Poet Akhtar Shirani. Aao Be-parda Tumhein Jalwa-e-pinhan Ki Qasam is written by Akhtar Shirani. Read famous Poem Aao Be-parda Tumhein Jalwa-e-pinhan Ki Qasam for youth and Student by Akhtar Shirani. Free Download Aao Be-parda Tumhein Jalwa-e-pinhan Ki Qasam in PDF.