Agar Wo Apne Hasin Chehre Ko Bhul Kar Be-naqab Kar De

agar wo apne hasin chehre ko bhul kar be-naqab kar de

to zarre ko mahtab aur mahtab ko aaftab kar de

teri mohabbat ki wadiyon mein meri jawani se dur kya hai

jo sada pani ko ek nashili nazar mein rangin sharab kar de

harim-e-ishrat mein sone wale shamim-e-gesu ki mastiyon se

meri jawani ki sada raaton ko ab to sarshaar KHwab kar de

maze wo pae hain aarzu mein ki dil ki ye aarzu hai yarab

tamam duniya ki aarzuen mere liye intiKHab kar de

nazar na aane pe hai ye haalat ki jang hai shaiKH-o-barahman mein

KHabar nahin kya se kya ho duniya jo KHud ko wo be-naqab kar de

mere gunahon ki shorishen is liye ziyaada rahi hain yarab

ki in ki gustaKHiyon se tu apne afw ko be-hisab kar de

KHuda na lae wo din ki teri sunahri nindon mein farq aae

mujhe to yun apne hijr mein umr bhar ko bezar-e-KHwab kar de

main jaan-o-dil se tasawwur-e-husn-e-dost ki mastiyon ke qurban

jo ek nazar mein kisi ke be-kaif aansuon ko sharab kar de

urus-e-fitrat ka ek khoya hua tabassum hai jis ko 'aKHtar'

kahin wo chahe sharab kar de kahin wo chahe shabab kar de

(961) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Agar Wo Apne Hasin Chehre Ko Bhul Kar Be-naqab Kar De In English By Famous Poet Akhtar Shirani. Agar Wo Apne Hasin Chehre Ko Bhul Kar Be-naqab Kar De is written by Akhtar Shirani. Read famous Poem Agar Wo Apne Hasin Chehre Ko Bhul Kar Be-naqab Kar De for youth and Student by Akhtar Shirani. Free Download Agar Wo Apne Hasin Chehre Ko Bhul Kar Be-naqab Kar De in PDF.