Kuchh To Tanhai Ki Raaton Mein Sahaara Hota

kuchh to tanhai ki raaton mein sahaara hota

tum na hote na sahi zikr tumhaara hota

tark-e-duniya ka ye dawa hai fuzul ai zahid

bar-e-hasti to zara sar se utara hota

wo agar aa na sake maut hi aai hoti

hijr mein koi to gham-KHwar hamara hota

zindagi kitni masarrat se guzarti ya rab

aish ki tarah agar gham bhi gawara hota

azmat-e-girya ko kotah-nazar kya samjhen

ashk agar ashk na hota to sitara hota

lab-e-zahid pe hai afsana-e-hur-e-jannat

kash is waqt mera anjuman-ara hota

gham-e-ulfat jo na milta gham-e-hasti milta

kisi surat to zamane mein guzara hota

kis ko fursat thi zamane ke sitam sahne ki

gar na us shoKH ki aankhon ka ishaara hota

koi hamdard zamane mein na paya 'aKHtar'

dil ko hasrat hi rahi koi hamara hota

(1196) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh To Tanhai Ki Raaton Mein Sahaara Hota In English By Famous Poet Akhtar Shirani. Kuchh To Tanhai Ki Raaton Mein Sahaara Hota is written by Akhtar Shirani. Read famous Poem Kuchh To Tanhai Ki Raaton Mein Sahaara Hota for youth and Student by Akhtar Shirani. Free Download Kuchh To Tanhai Ki Raaton Mein Sahaara Hota in PDF.