Tamannaon Ko Zinda Aarzuon Ko Jawan Kar Lun

tamannaon ko zinda aarzuon ko jawan kar lun

ye sharmili nazar kah de to kuchh gustaKHiyan kar lun

bahaar aai hai bulbul dard-e-dil kahti hai phulon se

kaho to main bhi apna dard-e-dil tum se bayan kar lun

hazaron shoKH arman le rahe hain chuTkiyan dil mein

haya un ki ijazat de to kuchh bebakiyan kar lun

koi surat to ho duniya-e-fani mein bahalne ki

Thahar ja ai jawani matam-e-umr-e-rawan kar lun

chaman mein hain baham parwana o shama o gul o bulbul

ijazat ho to main bhi haal-e-dil apna bayan kar lun

kise malum kab kis waqt kis par gir paDe bijli

abhi se main chaman mein chal kar aabaad aashiyan kar lun

bar aaen hasraten kya kya agar maut itni fursat de

ki ek bar aur zinda shewa-e-ishq-e-jawan kar lun

mujhe donon jahan mein ek wo mil jaen gar 'aKHtar'

to apni hasraton ko be-niyaz-e-do-jahan kar lun

(809) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tamannaon Ko Zinda Aarzuon Ko Jawan Kar Lun In English By Famous Poet Akhtar Shirani. Tamannaon Ko Zinda Aarzuon Ko Jawan Kar Lun is written by Akhtar Shirani. Read famous Poem Tamannaon Ko Zinda Aarzuon Ko Jawan Kar Lun for youth and Student by Akhtar Shirani. Free Download Tamannaon Ko Zinda Aarzuon Ko Jawan Kar Lun in PDF.