Zaman-e-hijr MiTe Daur-e-wasl-e-yar Aae

zaman-e-hijr miTe daur-e-wasl-e-yar aae

ilahi ab to KHizan jae aur bahaar aae

sitam-zarifi-e-fitrat ye kya muamma hai

ki jis kali ko bhi sunghun main bu-e-yar aae

chaman ki har kali aamada-e-tabassum hai

bahaar ban ke meri jaan-e-nau-bahaar aae

hain tishna-kaam hum un baadalon se puchhe koi

kahan bahaar ki pariyon ke taKHt utar aae

tere KHayal ki be-tabiyan maaz-allah

ki ek bar bhulaen to lakh bar aae

wo aaen yun mere aaghosh-e-ishq mein 'aKHtar'

ki jaise aankhon mein ek KHwab-e-be-qarar aae

(905) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zaman-e-hijr MiTe Daur-e-wasl-e-yar Aae In English By Famous Poet Akhtar Shirani. Zaman-e-hijr MiTe Daur-e-wasl-e-yar Aae is written by Akhtar Shirani. Read famous Poem Zaman-e-hijr MiTe Daur-e-wasl-e-yar Aae for youth and Student by Akhtar Shirani. Free Download Zaman-e-hijr MiTe Daur-e-wasl-e-yar Aae in PDF.