Badnam Ho Raha Hun

faryaadi-e-jafa-e-ayyam ho raha hun

pamal-e-jaur-e-baKHt-e-nakaam ho raha hun

sargashta-e-KHayal-e-anjam ho raha hun

basti ki laDkiyon mein badnam ho raha hun

bad-nam ho raha hun

salma se dil laga kar

basti ki laDkiyon mein badnam ho raha hun

salma se dil laga kar salma se dil laga kar

us hur-wash ke gham mein duniya-o-din ganwa kar

hosh-o-hawas kho kar sabr-o-sukun luTa kar

baiThe biThae dil mein gham ki KHalish basa kar

har chiz ko bhula kar

salma se dil laga kar

basti ki laDkiyon mein badnam ho raha hun

kahti hain sab ye kis ki taDpa gai hai surat

salma ki shayad is ke man bha gai hai surat

aur us ke gham mein itni murjha gai hai surat

murjha gai hai surat kumhla gai hai surat

sanwla gai hai surat

salma se dil laga kar

basti ki laDkiyon mein badnam ho raha hun

panghaT pe jab ki sari hoti hain jama aa kar

gagar ko apni rakh kar, ghunghaT uTha uTha kar

ye qissa chheDti hain mujh ko bata bata kar

salma se baaten karte dekha hai is ko ja kar

hum ne nazar bacha kar

salma se dil laga kar

basti ki laDkiyon mein badnam ho raha hun

raaton ko git gane jab mil kar aati hain sab

talab ke kinare dhumen machati hain sab

jangal ki chandni mein mangal manati hain sab

to mere aur salma ke git gati hain sab

aur hansti jati hain sab

salma se dil laga kar

basti ki laDkiyon mein badnam ho raha hun

kheton se lauTti hain jab din chhupe makan ko

tab raste mein baham wo meri dastan ko

dohra ke chheDti hain salma ko meri jaan ko

aur wo haya ki mari si leti hai zaban ko

ki chheDe is bayan ko

salma se dil laga kar

basti ki laDkiyon mein badnam ho raha hun

kahti hai rahm kha kar yun ek mah-e-talat

ye shahri naujawan tha kis darja KHub-surat

aankhon mein bas rahi hai ab bhi wo pahli rangat

do din mein aah kya hai kya ho gai hai haalat

allah teri qudarat

salma se dil laga kar

basti ki laDkiyon mein badnam ho raha hun

us shama-ru ka jab se parwana ban gaya hun

basti ki laDkiyon mein afsana bin gaya hun

har mah-wash ke lab ka paimana ban gaya hun

diwana ho raha hun diwana ban gaya hun

diwana ban gaya hun

salma se dil laga kar

basti ki laDkiyon mein badnam ho raha hun

un ki zaban pe meri jitni kahaniyan hain

kya jaanen ye ki dil ki sab mehrbaniyan hain

kam-sin hain be-KHabar hain uThti jawaniyan hain

kya samjhen gham ke hathon kyun sar-giraniyan hain

kyun KHun-fishaniyan hain

salma se dil laga kar

basti ki laDkiyon mein badnam ho raha hun

har ek ke rahm ka yun izhaar ho raha hai

bechaare ko ye kaisa aazar ho raha hai

dekhe to koi jaane bimar ho raha hai

kis darja zindagi se bezar ho raha hai

na-chaar ho raha hai

salma se dil laga kar

basti ki laDkiyon mein badnam ho raha hun

ek puchhti hai aa kar tum be-qarar kyun ho

kuchh to hamein batao yun dil-figar kyun ho

kya rog hai kaho to tum ashk-bar kyun ho

diwane kyun hue ho diwana war kyun ho

ba-haal-e-zar kyun ho

salma se dil laga kar

basti ki laDkiyon mein badnam ho raha hun

jaun shikar ko gar ba-hamrahan-e-sahra

kheton se ghurti hain yun duKHtaran-e-sahra

bijli ki raushni ko jaise miyan-e-sahra

tarik shab mein dekhen kuchh aahuwan-e-sahra

hairat kushan-e-sahra

salma se dil laga kar

basti ki laDkiyon mein badnam ho raha hun

ek shoKH chheDti hai is tarah pas aa kar

dekho wo ja rahi hai salma nazar bacha kar

sharma ke muskura kar aanchal se munh chhupa kar

jao na pichhe pichhe do baaten kar lo ja kar

kheton mein chhup chhupa kar

salma se dil laga kar

basti ki laDkiyon mein badnam ho raha hun

goya hamein hasad se kuchh naznin nigahen

salma ki bha gai hain kyun dil-nashin nigahen

un se zyaada dilkash hain ye hasin nigahen

al-qissa ek dil hai sau KHashmagin nigahen

shauq aafrin nigahen

salma se dil laga kar

basti ki laDkiyon mein badnam ho raha hun

ek shoKH taza darad sasural se ghar aa kar

sakhiyon se puchhti hai jis dam mujhe bata kar

ye kaun hai to zalim kahti hain muskura kar

tum is ka haal puchho salma ke dil se ja kar

ye git use suna kar

salma se dil laga kar

basti ki laDkiyon mein badnam ho raha hun

(1129) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Badnam Ho Raha Hun In English By Famous Poet Akhtar Shirani. Badnam Ho Raha Hun is written by Akhtar Shirani. Read famous Poem Badnam Ho Raha Hun for youth and Student by Akhtar Shirani. Free Download Badnam Ho Raha Hun in PDF.