Dil-o-dimagh Ko Ro Lunga Aah Kar Lunga

dil-o-dimagh ko ro lunga aah kar lunga

tumhaare ishq mein sab kuchh tabah kar lunga

agar mujhe na milin tum tumhaare sar ki qasam

main apni sari jawani tabah kar lunga

mujhe jo dair-o-haram mein kahin jagah na mili

tere KHayal hi ko sajda-gah kar lunga

jo tum se kar diya mahrum aasman ne mujhe

main apni zindagi sarf-e-gunah kar lunga

raqib se bhi milunga tumhaare hukm pe main

jo ab talak na kiya tha ab aah kar lunga

tumhaari yaad mein main kaT dunga hashr se din

tumhaare hijr mein raaten siyah kar lunga

sawab ke liye ho jo gunah wo ain sawab

KHuda ke nam pe bhi ek gunah kar lunga

harim-e-hazrat-e-salma ki samt jata hun

hua na zabt to chupke se aah kar lunga

ye nau-bahaar ye abru, hawa ye rang sharab

chalo jo ho so ho ab to gunah kar lunga

kisi hasine ke masum ishq mein 'aKHtar'

jawani kya hai main sab kuchh tabah kar lunga

(954) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil-o-dimagh Ko Ro Lunga Aah Kar Lunga In English By Famous Poet Akhtar Shirani. Dil-o-dimagh Ko Ro Lunga Aah Kar Lunga is written by Akhtar Shirani. Read famous Poem Dil-o-dimagh Ko Ro Lunga Aah Kar Lunga for youth and Student by Akhtar Shirani. Free Download Dil-o-dimagh Ko Ro Lunga Aah Kar Lunga in PDF.