Waqt Ki Qadr

dawat

bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma

chaman ki god mein aa kar sama bhi ja salma

kali kali mein bahaaren basa bhi ja salma

mujhe junun ka sabaq phir paDha bhi ja salma

bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma

milenge hashr mein mat kah ye bar bar mujhe

ho kaise hashr ke wade pe e'tibar mujhe

KHuda ke dil pe nahin koi iKHtiyar mujhe

KHuda ko man yahin hashr uTha bhi ja salma

bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma

nashat-e-umr ko ummid par nisar na kar

visal-e-subh-e-qayamat ka intizar na kar

riyaz-e-KHuld ki baaton ka e'tibar na kar

fareb wada-e-farda miTa bhi ja salma

bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma

kise KHabar hai qayamat mein hum milen na milen

faza-e-rauz-e-jannat mein hum milen na milen

kashakash-e-abadiyyat mein hum milen na milen

kashakash-e-abadiyyat bhula bhi ja salma

bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma

ganwa na sog mein apne shabab ki raaten

nazar na aaengi phir mahtab ki raaten

ye nikhaton ka hujum aur ye KHwab ki raaten

faza mein KHwab-e-hasin ban ke chha bhi ja salma

bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma

KHabar le jald ki umr-e-aziz fani hai

sara-e-dahr ki har chiz aani-jaani hai

ba-rang-e-abr-e-rawan fasl-e-naujawani hai

chhalakne wala hai saghar pila bhi ja salma

bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma

kise KHabar ye ghaTaen rahen rahen na rahen

ye nikhaten ye hawaen rahen rahen na rahen

ye mastiyan ye fazaen rahen rahen na rahen

sharab-e-wasl ka saghar pila bhi ja salma

bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma

sabaat-e-ahd zamane mein kisi ne paya hai

zamana rang badalne ko rang laya hai

bahaar-e-umr-e-rawan baadalon ka saya hai

bahaar-e-umr ki KHushiyan mana bhi ja salma

bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma

tere KHayal ko dil mein basae baiThe hain

KHudai ho ki KHuda ho bhulae baiThe hain

surur-e-ahd-e-jawani luTae baiThe hain

tu aa ke qadr-e-jawani sikha bhi ja salma

bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma

ye fasl aur ye bahaaren nazar na aaengi phir

ye baadalon ki qataren nazar na aaengi phir

ye halki halki phuwaren nazar na aaengi phir

sharab-e-aish-e-masarrat lunDha bhi ja salma

bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma

bata tu kya ye nazare ujaD na jaenge

ye naddiyan ye kinare ujaD na jaenge

ye chand aur ye kinare ujaD na jaenge

sitara-war shuaen luTa bhi bhi ja salma

bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma

ghamon pe ki hain fida shadmaniyan hum ne

KHuda ke nam pe taj din jawaniyan hum ne

guzar di hain yunhi zindaganiyan hum ne

dam-e-aKHir tu gham se chhuDa bhi ja salma

bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma

fana-nasib hain ye sabza-zar ke manzar

ye kohsar dil-e-juebar ke manzar

nazar na aaenge phir ye bahaar ke manzar

abhi saman hai bahaaren dikha bhi ja salma

bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma

KHabar le jald ki bahki hui bahaar hai aaj

nashat-e-KHuld se mamur sabza-zar hai aaj

ajal pe bhi meri hasti ko iKHtiyar hai aaj

ghurur-e-ishq ki himmat baDha bhi ja salma

bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma

tu hukm de to sitaron ko chhin laun main

falak se us ke nazaron ko chhin laun main

iram ki mast bahaaron ko chhin laun main

KHudai ko ye tamasha dikha bhi ja salma

bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma

tu samne ho to kaun-o-makan ko gum kar dun

KHam-e-tarab mein KHam-e-asman ko gum kar dun

dui ho fard to donon jahan ko gum kar dun

ba-rang-e-ruh badan mein sama bhi ja salma

bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma

(1127) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Waqt Ki Qadr In English By Famous Poet Akhtar Shirani. Waqt Ki Qadr is written by Akhtar Shirani. Read famous Poem Waqt Ki Qadr for youth and Student by Akhtar Shirani. Free Download Waqt Ki Qadr in PDF.