Targhib Aur Uske Baad

targhib:

phir main kaam mein lag jaunga aa fursat hai pyar karen

nagin si bal khati uTh aur meri god mein aan machal

bhed-bhaw ki basti mein koi bhed-bhaw ka nam na le

hasti par yun chha ja baDh kar sharminda ho jae ajal

chhoD ye laj ka ghungat kab tak rahega in aankhon ke sath

chaDhti raat hai Dhalta suraj khaDi khaDi mat panw mal

phir ye jadu so jaega samay jo bita gahri nind

jo kuchh hai anmol hai ab tak ek ek lamha ek ek pal

bin chhui miTTi ki KHushbu us ka sundha sundha-pan

sab kuchh chhin jaega ek din ab bhi waqt hai dekh sambhal

narm ragon mein miThi miThi Tis jo ye uThti hai aaj

baDhti mauj ka rela hai ik, Tis na uThegi kal

mast rasili aankhon se ye chhalki chhalki si ek shai

jis ne aaj apnaya is ko samjho us ke car saphal

main tere shoalon se khelun tu bhi meri aag se khel

main bhi teri nind churaun tu bhi meri ninden chhal

narm hawa ke jhonkon hi se khulti hai phulon ki aankh

warna barson sath rahe hain Thahra pani band kanwal!

us ke baad:

bhigi raat ka nashsha TuTa Dub gaya hai chaDhta chand

thake thake hain aaza sare aur huin palken bojhal

shabnam ka ras pi gain kirnen din ka rang chamak uTTha

gunj hai bhanwron ki kanon mein par hain aankhon se ojhal

husn aur ishq ki is duniya mein kis ne kis ka sath diya

main apne raste jata hun aur tu apni Dagar par chal!

(817) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Targhib Aur Uske Baad In English By Famous Poet Akhtar-ul-Iman. Targhib Aur Uske Baad is written by Akhtar-ul-Iman. Read famous Poem Targhib Aur Uske Baad for youth and Student by Akhtar-ul-Iman. Free Download Targhib Aur Uske Baad in PDF.